STORY
OLD MAN FIELDS
Ek bar Ramu
naam ka kisan tha. Veh gao ke jimidaar ke pass khetoh mein kaam karta tha. Ek
bar jyada barish ke karan uski fasal kharab ho gayi. Jis karan gao mein aanaj
ki kami aa gayi. Is liye us jimidaar ne usko (ramu) kaam se nikal diya. Ramu bahut
udaas ho gya aur dusre shahar mein kaam ki talaash mein nikal gaya. Magar sara
din kaam nahi milne ke karan vo ghar vapis aa gaya. Gao aur shahar ke raaste ke
beech mein jangal padhta tha. Vo har roj kaam ki talaash ke liye usi jangal ke
raaste se jata tha. Kayi kayi bar usko kaam mil jata tha aur kayi bar usko
khali hath hi ghar lotna padhta tha. Ek bar voh jangal ke raaste se shahar ki
aur jar ha tha ki usko ek roshni aayi. Vo uski aur chal pada . Aage jakar usne
ek jhopadi dekhi aur jhopadi mein usne ek budhe aadmi ko dekha. Vo uske pass
gya toh budhe aadmi ne kha ki vo yaha kya kar rha hai toh usne apni sari kahani
batayi ki vo ek jimidaar ke pass kaam karta tha aur usko barish jyada aane ke
karan kaam se nikal diya gya tha . Ye baat sunkar budhe aadmi ko bahut bura
laga aur usko yeh kuch theek bhi nahi laga , usko ramu par bahut daya aayi aur
usne usko paani diya . Paani pine ke baad vo aadmi usko ( JHOPADI KE PICHE LE
GAYA ). Aur usne usko kuch dikhaya. Darasal vo usko apne khet dikha rha tha jo
ki uski jhopadi ke piche the ek baar toh ramu bhi daar gaya tha aur usko galat
samaj rha tha lekin budha aadmi sarif tha. Budhe aadmi ne bataya ki vo aab
budha ho chukka hai isliye vo apne khetoh mein kaam nahi kar sakta aur vo
chahta hai ki ramu us ke liye kaam kare . Ramu uske
khetoh mein kaam karne ke liye maan gaya aur kehne laga ki aap kamai ke kitne
share rakhoge toh budha kehne laga ki mujhe tum profit ka sirf 10% hi de dena .
Yeh sun kar ramu khush ho gya aur kaam joro shoro se karne laga. Kuch hi saalo
mein vo ramu bahut hi aamir ho gya aur kafi paiso vala ho gaya . Usne kafi
jyada gao mein property khareed lii Usne us jimidaar jisne usko kaam se nikala
tha uska ghar, gadi , aur saari jameen khareed li aur gao ka aur balki aas paas
ke sabhi gao ka aamir aadmi ban gaya kyuki uska kaam karne ka tarika sabse
aalag tha aur vo work hard nahi work smart karta tha. Aur usne aapne bunglow
mein us budhe aadmi ki photo bhi lagai thi kyuki uske karan hi toh voh aamir
aadmi ban paya tha. Issi ke sath is kahani ka aan hota hai
,
Kahani pasand
aayi ho toh gorja blog ko follow kare , youtube channel tadka josh ko subscribe
kare . blog par comment bhi kare
.
Aage aur
kahaniyo ke liye GORJA ke sath bane rahe aur kahani video mein dekhne ke liye
youtube par TADKA JOSH ko subscribe kare
FROM :
SKYLINE 27 { A TEAM OF TADKA JOSH PRODUCTION COMPANY AND GORJA ASSOCIATES}
STORY WRITER
: RANJIT SINGH [ RANA ] & PARAS SHARMA
OWNER = PARAS SHARMA
TYPER = PARAS SHARMA
TRANSLATOR = PARAS SHARMA
SITE OWNER = PARAS SHARMA
SPECIAL THANKS : RANJIT SINGH DHALIWAL
PRODUCER : AMRITPAL SINGH & JASKARAN SINGH &
RAVIKARAN SINGH
ORGANISER : RAJBIR SINGH LOOTHRA
SPECIAL PARTNER : GURTEG SINGH DHALIWAL
FREQUENT VIEWER : GURTEG SINGH DHALIWAL
MANAGEMENT UNDER CONTROLLED BY PARAS SHARMA.
mast blog hai bhaiya
ReplyDelete